02

Chapter 1 : The Beginning

" ख़्वाहिश तो लाखों करते हैं, पर कितनों का होता है ये जहां,

जिनका होता है, उन्हें तो आसमान की तलाश रहती है।"

(Scene : Delhi , A Cozy Room Fully Organised)

Subah ke 7:30 baj rhe the, halki- halki Sooraj ki Roshni curtains se jhakte hue kisi ke kamre mein padti h, vo kamra ek dum books, flowers, table, carpet coordination se organised tha, Corner m ek mirror tha, jha pr make up ka saman tha, vhi side m study table jispar ek photo frame tha, jisme char log the, uss kamre mein Koi blanket odh ke mast nind mein Magan tha, aur apne bed pr mast soya hua tha Tabhi ek lady ( Age :40 Name : Aparna) jiske wet hair towel se half cover the ,hath me dhoop thi, kamre ka door kholkar andar aati h aur curtains ko htane lgti h , aur ab puri sunlight us blanket pr pade Insann pr padne lagti Hai, halki halki sooraj ki roshni insaan k face pr jaise hi padti h, us insaan ki aakhe neend m hi jhilmilati h , aur vo karwate lene lgti h aur ab Apne face ko iss bar Puri achi tarah Se blanket se cover kr leti h , aur dobara so jati h😪 tabhi vo lady kehti h

Aparna -: uth jao beta, ! Dekho 8:30 ho gaye hain tumhe taiyaar bhi to hona Hai, bhul gyi ho ki aaj kya hai?

tabhi achanak se ye baat sunkar vo Insann jaldi se uthkr bed pr baith jati h aur side m rkhe hue alarm clock ko dekti h

That person - Mumma aapne muje pehele kyu nhi uthaya?

Aparna (her Mom) - Pehle kyu nhi uthaya?? Main 2 baar already kosis krke ja chuki hu 😒

-- Mummaa, yarrr😣 Daisy aati hi hogi, muje pick up krne k liye , aur m ready bhi nhi hui

Aparna - Okk ..Chlo ab to der mt kro jldi utho, aur taiyar ho jao , dekho tumare sare kapde, accessories sb maine ready krkr rkh diya h

-- Aww🥺, Thank you Mumma, (Hugs her)

Ab vo insaan jldi se bed se khudke washroom ki taraf chli jati h

Scene: (In Main Hall of the house) :

lagbhag 40 minutes k bad , us ghar ki doorbell bjti h, Aparna gate ko kholne k liye kitchen se bahar aati h , tabhi ek dusra Insann usse pehle uss gate ko khol deta h

Samne ek pyari si ladki khadi hoti h , jisne ek Sundar sa long kurta and jeans pehna hota h , vhi uske hair short the, chere pr jyada to nhi lekin makeup rehta h , aur hath m bda sa handbag, vhi vo ek bdi si smile k sath kehti h

-- Uncle, Namaste ek min iss bag ko pakadiye

--- haa,, aur samne khada insaan uss bag ko pakad leta h , aur kehta h ye kya subah subah bhar kr layi ho is bag m jo itna bari h ye..😫

--- Vo uncle isme ..(cuts)

Aparna - aap Daisy ko bahar hi khada rkhenge kya, use andar to aane dijiye

-- Haa ..

Daisy - Good morning Aunty, ( hugs her)

Aparna - Good morning, Beta 🤗

-- Ohoo aunty ko good morning muje namaste, haaa

Daisy -- Ohoo Arav uncle, apko bhi good morning & Aunty apko namaste (giggles)

Aarav & Aparna - ( Smiles together)

Aarav - arre btao to isme ..iss bag m h kya ??

Aparna - Arre ..aap bhi na ek baat k piche hi pd jate h , hoga bachho k college ka saman

Aarav - Haa, aaj farewell k din kon itna saman lekr jata h? Vo bhi itna bhari 😒

Daisy -- Arre, uncle vo isme kuch saree h jo ..(cuts)

Tabhi room se awaj aati h -- mumma, Daisy aa gyi kya, usse bolo ki bas 10 min nhi 20 min ha 20 min wait Krle ..

Aparna sees Daisy and said - Jao apni dost k pass, aur boldo tum wait nhi krogi ..

Daisy - lekin aunty muje to wait Krna padega, muje aapke hath ka paratha jo khana h (chuckled) 😂😂

Aparna - Thik h to parate k liye wait krlo ..abhi lati hu (smiles)

Daisy - M usse dekh kr aati hu , itne

Aparna - Hmm

(Daisy went into the room of that person, and directly laid down on the bed after entering and exhale a deep breath) 😮‍💨

Daisy - Dekh jo jo tune kha tha m vo sb lekar bhi tere Ghar pr aa gyi aur tu h ki abhi tk taiyar bhi nhi hui

In front of the mirror,🪞 someone combs her long black hair. She’s wearing a long off-white pastel Anarkali suit. Now she turns toward that person, while trying to put earrings in her ears. Her golden-brown eyes are lined with side-wing eyeliner. Her makeup is simple yet elegant, glowing on her fair skin. A light pinkish lipstick makes her lips even more attractive.

That person -- yarr, ek ye jhumke,.. khair yarr sorry sorry m toda kl dance ki practice kr rhi thi isliye toda late ho gya ..aur speech ki bhi to krni thi

Daisy -- Itna acha to dance tu krti h phir kya jarurat h tuje practice krne ki

-- yrr farewell pr pehli baar kr rhi hu na isliye, lekin dekh ab ready hu , thik lg rhi hu na ??

Daisy -- Tuje to ye puchne ki jarurat bhi nhi h , tere pr to vase bhi clg k aade se jyada ladke fida h 😂😂 ( teases her)

--- haha , nice joke 😒 chlo jldi vrna hume late ho jayega

Daisy -- Haa, chal

Vo dono jldi jldi ,uss bag ko utha kr jane lgte h tabhi peche se awaj aati h

" Miss. Aakanksha Goenka"

( Turns back, Aakanksha Goenka a simple yet complex character and the main female lead of the story, about which you will know with the time in the story, my dear readers , so stay tuned❤️🤗)

Aarav - Apki mumma n apko bina kuch khaye jate hue dekh liya na , to tehlka mach jayega

Aakansha Goenka - Papaa, M aur Daisy sach m kafi late ho rhe h ..

Aparna - (tabhi kitchen se plate late hue kehti h) kuch late nhi ho rha h , khali peth Ghar se nhi jate , aur ye Daisy aapko to mere hath k parathe khane the na , phir ab kha chle ja rhi ho iske sath jldi jldi..

Daisy - yes aunty, lekin hum abhi late ho rhe h farewell k liye.. aur vase bhi aaj hum dan..(cuts in between)

Tabhi Aakanksha roll kr kr parate ko hath m le leti h aur Daisy k muh m bhi ek tus deti h , aur ek roll khud bhi le leti h

Aakanksha - Mumma le liya , hum kha lenge ab hum chalte h

Daisy aur Aakanksha jldi jldi vha se nikal jate h

Aparna - ye ladki bhi na .. 🙄

(Scence shifts to a college, Delhi ka one of the best business colleges m se ek jha ek se ek high profile peoples- politicians, sportsman, celebrities k bacche padne aatte h , jha itni aasani se admission bhi nhi milta vhi Aakansha Goenka aur Daisy malhotra bhi usi college m padte the jinki aaj graduation farewell thi yani --last day of graduation and their college)

Daisy and aakanksha dheere se back side se aa jaye h jha se sabhi students seminar hall m entry le rahe the, dono n hi college m akkar pehle apne kapde change kr liye the aur ab saree pehni hui thi

Cloth description - Aakanksha is wearing a simple plain georgette net fabric black colour saree which have a shimmer work on the border

Daisy is in classy yet dapper dark green colour net fabric saree

Akansha aur Daisy apne baki classmates se milte rehte h , vhi sb sath m hi seminar hall m entry lete h jha farewell ka program pehle se hi start ho chuka tha lekin pehle junior ki performances chl rhi thi and professors ki speech chl rhi thi) sb apni seat pr aakr baith aaye h aur 1-2 juniors ki performances ke bad number aata h seniors ka vhi ek do seniors yani ki Aakanksha ke classmates jisme kuch ladke hote h aur kuch ladkiya jisme Daisy bhi hoti h stage pr dance performance k liye jane lagte h vha pr baite sbhi log unke liye taliya bajane lgte h , Akanksha bhi un sabhi ko cheer krti h ,

Song starts -

Goree goree, goree goree, goree goree

Kabhi kabhi, kahi kahi, choree choree

Chhup chhup ke tum mila karo,

pyaree pyaree baate wate kiya karo

Par yu naa milna kisise, kabhee hamare siwa

.....

Gore gore, gore gore, gore gore

Bhole bhole, naye naye, kore kore

Song ends

Sabhi bahut acha coordinate dance krte rehte h

Sbhi bhut hooting and clapping krte h , yeahhh ye..ye ye

Dance ends

Sbhi bhut hooting and clapping krte h , unki dance performance k liye

Anchor - please have a huge round of applause for this amazing dance of our seniors .. what a fantastic dance

Everyone - (claps & hooting) 👏👏

Anchor - Now, its turn to call up the next performance of this wonderful day , the topper girl coming with a dance performance miss Aakanksha goenka ..

Daisy - yeah aakanksha jaa..Teri bari

Aakanksha - Yar m nhi ja skti ..ek problem ho gyi h ..😣

Daisy - kya?

Aakanksha - vo mere..😣

.(To be continued...)

.

(Next chapter - Aakanksha's Dream)

Please comment down and support

(Please follow me on the Instagram for the updates and spoilers for the next chapter insta id - @author._.arisha)

Write a comment ...

author._.arisha

Show your support

My dear readers, Ek sapna h mera apni kahaniyan bahut sare logo tk pauchna, jisme m khoyi rehti hu aap bhi ek baar padkr jarur dekhna. Bahut pyar, mehnat aur visvas k sath maine yha pr likhna start Kiya h ki sayad mere jaise Kai log honge jo iss fictional world ko samajta ho. Aap sabhi ka pyar muje meri iss journey m motivated rkhne k liye bahut jyada important h. Please follow and support.

Write a comment ...